AURTEN 1 sath pakhana aur pishaab keliye jati hain aur 1 dusre ki satar w sharam gaah ko dekhti hain to kya hukm hai?

Sawaal

Kya farmate hain ulmaye karaam is masale men ki AURTEN 1 sath pakhana aur pishaab keliye jati hain aur 1 dusre ki satar w sharam gaah ko dekhti hain to kya hukm hai?

ALJAWAAB

AURTON ka 1 dusre ki SATAR w sharam GAH ko dekhna na JAIZ W HARAAM hai jis tarah MARD MARD ke SATAR aur sharam GAH ko nahi dekh sakta isi tarah AURAT bhi AURAT ki SATAR yani naaf ke niche se ghutne tak nahi dekh sakti.

HADEES shareef men hai:

HUZOOR SALLALAHU ALAIHI WA SALLAM NE IRSHAAD FARMAYA:

1 MARD DUSRE MARD KI SATAR KI JAGAH NA DEKHE AUR NA AURAT DUSRI AURAT KI SATAR KI JAGAH DEKHE AUR NA MARD DUSRE MARD KE SATH 1 LIHAAF MEN BARHANA YANI BILKUL NANGA SUYE AUR NA AURAT DUSRI AURAT KE SATH 1 KAPDE MEN BARHANA SOYE.

( MUSLIM SHAREEF SAFHA 186)

HUZOOR SADRUSH SHARIYA TAHREER FARMATE HAIN:

AURAT KA AURAT KO DEKHNA US KA WAHI HUKM HAI JO MARD KA MARD KI TARAF NAZAR KARNE KA HAI YANI NAAF KE NICHE SE GHUTNE TAK NAHI DEKH SAKTI BAAQI AAAZA KI TARAF NAZAR KAR SAKTI HAI BASHARAT YE HAI KI SHAHWAT KA ANDESHA NA HO.

(BAHARE SHARIYAT JILAD:3,SAFHA:443)

KUTBA
JALALUDDEEN AHMAD AMJADI RAZVI NAIMI ARSHADI KHADIM JAMIYA GULSHANE FATIMA LIL BANAAT PIPALGAON NAIGAON DISTT NANDED MAHARASHTRA INDIA 8090418344

Share and Enjoy !

Shares
Scroll to Top