Sawaal
Kya farmate hain ulmaye karaam is masale men ki
Aaj kal HINDUSTAN aur digar mulkon men kutton ko bechne aur khareed ne ka karobaar chalta hai kya ye sahih hai?
ALJAWAAB
Kutton ki tijarat JAIZ hai chand SHARA,IT ke sath isliye ki kutte kai tarah ke hoten hain baaz kutte muallim yani sikhaye huye hote hain aur baaz gair muallim hote hain phir jo gair muallim hote hain un men baaz qaabile taleem hote hain baaz Nahin haote hain balki kaat khane wale hoten hain jo kutte sikhaye huye ya gair muallim magar qaabile taleem hon un ki khareed w farokhat JAIZ hai aur jo kathakhne hon un ki bai durust nahi hai.
HUZOOR SADRUSH SHARIYA TAHREER FARMATE HAIN KI:
Kutta ki bai JAIZ hai shikaari jaanwar muallim ho ya gair muallim dinon ki bai sahih magar ye zaroor hai ki qaabile taleem hon khatakna kutta jo qaabile taleem nahi hai us ki bai durust nahi.
(BAHARE SHARIYAT JILAD:11,SAFHA:809)
KUTBA
JALALUDDEEN AHMAD AMJADI RAZVI NAIMI ARSHADI KHADIM JAMIYA GULSHANE FATIMA LIL BANAAT PIPALGAON NAIGAON DISTT NANDED MAHARASHTRA INDIA 8090418344