Sawaal
Agar dhaat ki chizon ko MULAMMA na kiya balki CHANDI ka khol chadhadiya to kya us ka ISTEMAAL karna JAIZ hai ya nahi?
Jawaab
dhaat ki chizon ko MULAMMA na kiya balki CHANDI ka khol chadhadiya to kya us ka ISTEMAAL karna JAIZ hai.
Maslan lohe ki ANGOTHI par CHANDI ka khol chadhadiya ki Loha bilkul dikhai na de to is tarah is ka ISTEMAAL karna JAIZ hai
Hujur sadurush shariya Alaihir Rahman farmate Hain
Lohe ki anguthi per Chandi ka khol Chadha Diya ki Loha bilkul na Dikhai deta Ho us anguthi ke pahnane Ki mumaaniyat nahi is se Maloom Hua ki sone ke jevaron mein jo bahut log andar Tambe ya Lohe ki Salakh rakhte hain aur Upar Se Sone Ka Pathar Chadha Dete Hain uska pahnana jayaj Hai .
(Bahare shariyat jilad 3 Safa 427)
KUTBA
JALALUDDEEN AHMAD AMJADI RAZVI NAIMI ARSHADI KHADIM JAMIYA GULSHANE FATIMA LIL BANAAT PIPALGAON NAIGAON DISTT NANDED MAHARASHTRA INDIA 8090418344