Sawaal
Kya farmate hain ulmaye karaam is masale men ki AURTON ko CHUDI daar PAIJAMA PAHANNA KAISA hai?
Jawaab
Shariyat men AURTON ko CHUDI daar PAIJAMA PAHANNA yunhi apni ladkiyon ko PAHANNA khaw wo choti hon ya badi HARAAM w na JAIZ hai.
SARKARE aala hazrat irshaad farmaten hain:
Yunhi tang paiche bhi na CHUDIYon daar hon na takhnon se niche na khoob chust badan se sile ki ye sab wazye fussaq hai aur sattre AURAT ka aise chust hona ki azu ka pura andaaz bataye ye bhi 1 tarah ki be sattri hai huzoor SALLALAHU alaihi wa sallam ne jo peshan goi farmai ki nisaaun kaasiyaat aariyaat AURTEN hongi kapde PAHne nangiyan us ki ujuhe tafseer se 1 wajah ye bhi hai ki kapde aise tang chust hon ge ki badan ki golai farbahi andaaz upar se batayen ge jaise baaz lakhnow waaliyon ki tang shalwaaren chust kurtiyan.
(Fatawa razviya jilad 9 safaha 84)
HUZOOR SADRUSH SHARIYA TAHREER FARMATE HAIN:
AURATON KO BILKHUSUS CHUDI DAAR PAIJAMA NAHI PAHANNA CHAHIYE AURTON KE PAIJAME DHEELE DHAALE HON AUR NICHE HON KI QADAM CHUP JAYEN UN KELIYE JAHAN TAK PAWUN KA ZYADA HISSA CHUPE ACHCHA HAI.
(BAHARE SHARIYAT JILAD 3 SAFHA 417)
KUTBA
JALALUDDEEN AHMAD AMJADI RAZVI NAIMI ARSHADI KHADIM JAMIYA GULSHANE FATIMA LIL BANAAT PIPALGAON NAIGAON DISTT NANDED MAHARASHTRA INDIA 8090418344