Kya haiz w nifaas wali Aurat Gale Mein taweez  pahan sakti hai ya nahin?

Sawaal

Kya farmate hain ulmaye karaam is masale men ki
Kya haiz w nifaas wali Aurat Gale Mein taweez  pahan sakti hai ya nahin?

Jawaab

Pahan sakti hai koi harj nahin jabki gilaf Mein Ho Chahe junbi ho ya haiz W NIFAAS wali aurat ho.

Bahare shariyat mein hai:

junb w haiz w nafsa bhi taweezat ko Gale Mein pahan sakte hain bazu per bandh sakte hain jabki gulaaf mein ho.

(BAHARE shariyat:3,safha:420)

Han woh taweezat jin men kalmate Kufriya aur na JAIZ  Alfaaz mazkur hon Jaisa ki Zamane jahiliyat Mein kiye Jaate the to Unka pahnana na JAIZ w haram hai sirf unhin taweezaat ka pahanna JAIZ hai jis mein Ayate quraaniyya aur  Aasmaye ilaahiyya Ho.

HUZOOR SADRUSH SHUKRIYA ALAIHIR RAHMA farmate Hain:

Gale Mein TAWEEZ latkana JAIZ Hai jabki Wah TAWEEZ JAIZ Ho yani AAYAATE QURAANIYYA YA ASMAAYE ILAAHIYYA YA DUWAAWON SE TAWEEZ KIYA JAYE AUR BAAZ HADEESON MEN JO MUMANIAT AAI HAI US SE MURAAD WOH TAWEEZAT HAIN JO NA JAIZ ALFAAZ PAR MUSHTAMIL HON JO ZAMANYE JAHILIYAT MEN KIYE JATE THE IS TARAH TAWEEZAT AUR AAYAAT W AHAADEES W ADWIYYAT KO RIKAABI MEN LIKH KAR MAREEZ KO BA NIYYAT SHIFA PILAANA BHI JAIZ HAI.

(BAHARE shariyat:3,safha:419)

KUTBA
JALALUDDEEN AHMAD AMJADI RAZVI NAIMI ARSHADI KHADIM JAMIYA GULSHANE FATIMA LIL BANAAT PIPALGAON NAIGAON DISTT NANDED MAHARASHTRA INDIA 8090418344

Share and Enjoy !

Shares
Scroll to Top